Hey,bhagwan kya tune duniya banayi thi aisi ,
ho gyi h jaisi
Dekhega to teri aakhein bhi bhar jaayegi,
sharmsaar hokar teri nazrein bhi jhuk jaayegi,
tune banaya tha jo insaan ,
wo ban gya haiwan,
tune usko di thi samvednaye,
wo karne lga hatyaye,
pyaas buzhti h uski sirf laal khun se,
bhavnaaye tang h,
insan ki insan se hi ye anokhi jang h
karna chahta h hukumat,
pana chahta h saare jahan ki daulat,
hey,bhagwan ye tere banaye bande
ho gye h paiso ki lalach mein aandhe
na rishto-naato ko mane ye
na apne parayo ko jaane ye
rakhte h pair insani laasho par
krte hai julm apno par
na jaane ye kya jeetna chahta h
insan,insane ko maar ke
tune maara tha ek raavan uss yugh mein
hajaro ho gye h is kalyug mein,
tu na jaane kya kar rha h abhi
na banana dobara ye duniya kabhi,
tu dekega to bus yhi sochega,
ye duniya banayi thi kyu maine ye